phir ji uthe hain jis se wo imkan tum nahin ab jo bhi kar raha hai ye ehsan tum nahin mujh mein badal raha hai jo ek aalam-e-khayal us lamha-e-junun ke nigahban tum nahin bujhte hue charagh ki lau jis ne tez ki wo aur hi hawa hai meri jaan tum nahin phir yun hua ki jaise girah khul gai koi mushkil to bas yahi thi ki aasan tum nahin tum ne suni nahin hai sada-e-shikast-e-dil hum jhelte rahe hain ye nuqsan tum nahin tum se to bas nibah ki surat nikal padi jis se hue the wada o paiman tum nahin khush-fahmiyon ki baat alag hai magar ye ghar jis ke liye saja hai wo mehman tum nahin ye aalam-e-zuhur hai hijrat-zada 'salim' hum bhi dukhi hain sirf pareshan tum nahin