phir ruk nahin saka hun kisi bhi chatan se aisa gira hun roz-e-azal aasman se hai jabr mein bhi ek guman ikhtiyar ka do chaar har qadam pe hon ek imtihan se ab main hun aur hawaon ki sazish ka samna ek tir hun chala hun qaza ki kaman se ek aaina ki jis mein kahin baal pad gaya ek silsila ki tut gaya darmiyan se gum-sum khade hain ab dar-o-diwar aur main wo log kab ke ja bhi chuke hain makan se khushiyan jo mujh ko mil na sakin is jahan mein mujh ko bula rahi hain nae ek jahan se is baat ka 'jamil' mujhe kuchh pata nahin iqrar kar raha hun main jis ka zaban se