phir taKHayyul yun kis ka mujhko bahlane laga

phir takhayyul yun kis ka mujh ko bahlane laga
qurb jaise duriyon ka rup apnane laga

us ke chehre ki ziya-pashi ko shab mein dekh kar
chandni to chandni hai chand sharmane laga

jaan kar toda kisi ne jab khilauna pyar ka
dil koi tute khilaune hi se bahlane laga

ahl-e-mahfil ki nazar mein jaise ek mujrim thi main
uth ke jab wo shokh pahlu se mere jaane laga

barha tark-e-talluq ke liye socha magar
badh ke aage dil mera mujh ko hi samjhane laga

thokaren kha kar hua mayus jab wo ghair se
zulf meri hath mein le kar wo suljhane laga

dil-jalon ki saf mein ai 'nasrin' tu bhi aa gai
ab tere rang-e-taghazzul mein maza aane laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close