phir un ki nigahon ke payam aae hue hain phir qalb-o-nazar bakht pe itrae hue hain paimana ba-kaf baith ke maikhane mein saqi hum gardish-e-haalat ko thahrae hue hain mahaul munawwar hai moattar hain fazaen mahsus ye hota hai ki wo aae hue hain gesu hain ki barsat ki ghanghor ghataen aariz hain ki gul dudh mein nahlae hue hain kya bakhshenge wo anjuman-e-naz ko zinat jo phul sar-e-shakh hi murjhae hue hain ho chashm-e-karam un pe bhi ai pir-e-kharabaat jo aabla-pa dar pe tere aae hue hain hai dasht-nawardi hi 'nadim' un ka muqaddar jo bargah-e-husn se thukrae hue hain