phir wahi raat jo tanhai ke aaghosh rahi

phir wahi raat jo tanhai ke aaghosh rahi
ek unidi si ghazal khwab mein madhosh rahi

hum se wo ajnabi aur un se the anjaane hum
ta-abad yun hi mohabbat ye faramosh rahi

parda-e-chashm mein yaadon ke zakhire pur-shor
jhankti un se jo tanhai wo khamosh rahi

jab talak pahunchi na wo mahfilon se mahfilon mein
tab talak meri wo ruswai bhi pur-josh rahi

kyun ho sharminda wo insan ke jaraem par yun
kyun zamin shab ki siyahi mein rida-posh rahi

aankh pe chhae hain arman jo the zer-e-dil
dastan har yahan ho ke dhuan ru-posh rahi

baat phisli thi jo kanon mein zaban se latki
tauq ban ke wo hi ta-umr sar-e-dosh rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close