phir yun hua ki aag se chehra jala diya

phir yun hua ki aag se chehra jala diya
kis ne azim shahr ka naqsha jala diya

kal panchhiyon ne qaid mein ek faisle ke baad
badle ki sard aag se pinjra jala diya

tawan jo nahin mila shah-rag ko kat kar
bachche ki lash phenk di basta jala diya

aandhi ki phir charagh se takrar ho gai
jugnu ne kyun hawa ka dupatta jala diya

jab nainwa mein raat thi aur bujh gae charagh
tab ashqiya ne khauf se khema jala diya

ye gir rahi hai rakh jo 'rahib' zamin par
budhiya ne raat chand mein charkha jala diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close