phirti hai justuju mein nasim-e-watan kahan ab main khizan-rasida kahan aur chaman kahan is daur mein wafa ki rusum-e-kuhan kahan mansur bhi ab aae to dar-o-rasan kahan aata hai kaun hijr mein ai zauq-e-intizar daur-e-khizan mein sadr-nashin-e-chaman kahan mere ghurur-e-ishq mein begangi sahi lekin teri nigah ka begana-pan kahan khud hi mita sake to mita ai raza-e-dost dhunde koi wasila-e-dar-o-rasan kahan main aur teri anjuman-e-naz ki talash mere liye wo jannat-e-sarw-o-saman kahan go zamzame hazar hain lekin siwae ishq hasil kisi se lazzat-e-kaam-o-dahan kahan shiraaza-band-e-dair-o-haram hai mera niyaz jo main na hun to shaikh kahan barhaman kahan jeb-e-saman darida gareban-e-lala chaak mahfuz us nazar se koi pairahan kahan jo un ki rahguzar mein pade the pade rahe jate 'zafar' ye khalwatiyan-e-chaman kahan