phul jaisi hai kabhi ye khar ki manind hai zindagi sahra kabhi gulzar ki manind hai tum qalam ki dhaar ko kam mat samajhna dosto ye qalam to hai magar talwar ki manind hai chaar din ke waste sab ko mili hai dahr mein zindagi bhi ret ki diwar ki manind hai pas paisa hai nahin phir bhi jahan mein mast hun zindagi apni kisi fankar ki manind hai zindagi kis waqt dhoka de de 'ambar' kya pata ye bhi lagta hai kisi ghaddar ki manind hai