phul juDe mein jab sajaana hai

phul jude mein jab sajaana hai
pahle tum ne mujhe batana hai

mere ajdad ne bhi mana hai
ishq dhanda bahut purana hai

dars man bap ne diya hai mujhe
girte har shakhs ko uthana hai

mil ke dushman se sazishen kar lo
main ne aakhir ko jit jaana hai

rukh hawaon ki samt karte hue
ek diya main ne phir jalana hai

shor hota hai yun pas-e-diwar
pas-e-diwar ek zamana hai

phul bikhre pade hain raste mein
aaj shayad kisi ne aana hai

kya bigadenge gham bhala us ka
jis ki qismat mein muskurana hai

lakh duniya lagae taziren
amn ka git main ne gana hai

kaam se fursaten nahin 'abid'
abhi bachchon ko bhi padhana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close