phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja ab hai yahi insaf ka aalam dekhne wale dekhta ja parwanon ki rakh uda di baad-e-sahar ke jhonkon ne shama bani hai paikar-e-matam dekhne wale dekhta ja jam-ba-jam lagi hain mohren mai-khanon par pahre hain roti hai barsat chhama-chham dekhne wale dekhta ja is nagri ke raj-dulare ek tarah kab rahte hain dhalte sae badalte mausam dekhne wale dekhta ja maslahaton ki dhul jami hai ukhde ukhde qadmon par jhijak jhijak kar udte parcham dekhne wale dekhta ja ek purana madfan jis mein dafn hain lakhon ummiden chhalni chhalni sina-e-adam dekhne wale dekhta ja ek tera hi dil nahin ghayal dard ke mare aur bhi hain kuchh apna kuchh duniya ka gham dekhne wale dekhta ja kam-nazron ki is duniya mein der bhi hai andher bhi hai pathraya har dida-e-pur-nam dekhne wale dekhta ja