phulon ki baat dur tarasta hun Khaar ko

phulon ki baat dur tarasta hun khar ko
ji chahta hai aag laga dun bahaar ko

patta koi bacha hai tere waste bata
ab sar pe dhar ke nach chaman mein bahaar ko

kanon mein tel dal ke soe pade hain log
kis ko dimagh sun le kisi ki pukar ko

kohram mach raha hai gaya murdani ka daur
chhae hue sukut pe dekh intishaar ko

ab chahte hain puri kahani sunaun main
karte the jo pasand faqat ikhtisar ko

mere liye hua hai na hoga kabhi wo narm
rota rahunga main yunhi parwardigar ko

mazmun bandhta hai sukhan mein nae nae
'kundan' badha raha hai ghazal ke waqar ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close