phulon mein jhalak husn-e-rukh-e-yar ki nikli hum khush hain koi shakl to didar ki nikli alfaz se khushbu tere kirdar ki nikli jab baat masiha tere guftar ki nikli nilam hue chand har ek shahr mein lekin raunaq na kahin misr ke bazar ki nikli honton ki hansi bin gae jo zakhm the dil mein surat koi jab aur na izhaar ki nikli dekha to ye samjhe kisi darwesh ka ghar hai puchha to wo kutiya bhi zamindar ki nikli phir phul barasne lage lafzon ke dahan se phir baat kisi ke lab-o-rukhsar ki nikli zanjir ki tangi thi asiran-e-wafa the aawaz bhi zindan se na jhankar ki nikli