phulon mein wo KHushbu wo sabahat nahin aai

phulon mein wo khushbu wo sabahat nahin aai
ab tak tere aane ki shahadat nahin aai

mausam tha numaish ka magar aankh na kholi
jaanan tere zakhmon ko siyasat nahin aai

jo ruh se aazar ki manind lipat jae
hum par wo ghadi ai shab-e-wahshat nahin aai

ai dasht-e-anal-haq tere qurban abhi tak
wo manzil izhaar-e-sadaqat nahin aai

hum log ki hain maon se bichhde hue bachche
hisse mein kisi ke bhi mohabbat nahin aai

hum ne to bahut harf teri madh mein soche
afsos ki sunwai ki naubat nahin aai

larze bhi nahin shahr ke hassas dar-o-baam
dil rakh hue phir bhi qayamat nahin aai

'sajid' wo sahar jis ke liye raat bhi roi
aai to sahi hasb-e-zarurat nahin aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close