pi bhi ai maya-e-ashabab sharab garm-joshi se hai kabab sharab maryami ud gai masiha ki lab-e-nazuk pe hai sharab sharab us se hum ja bhide adu ke ghar hai padi khanuman-kharab sharab kyun ki mutlaq haram hi kahiye pijiega mila ke aab sharab bahr-e-har-zarf-e-imtihan saghar har tamanna ka intikhab sharab baad-azin mohtasib qasam le le tauba karta hun la shitab sharab zaea auqat ko nahin karte pite hain waqt-e-mahtab sharab sakht matam hai ai shabab tera ki rulati hai khun-e-nab sharab mohtasib us ka khun hai kis par jo hai pita bajae aab sharab mushaf-o-khirqa bechte hain hum ho gai jaan ko azab sharab us ki bakhshish hai be-hisab agar hum bhi pite hain be-hisab sharab har ghadi zikr-e-mai hai ai waiz ho gai teri to kitab sharab ai 'qalaq' mai-kade mein sajde kyun kaun dega pa-e-sawab sharab