pi le jo lahu dil ka wo ishq ki masti hai kya mast hai ye nagan apne hi ko dasti hai mai-khane ke sae mein rahne de mujhe saqi mai-khane ke bahar to ek aag barasti hai ai zulf-e-gham-e-jaanan tu chhanw ghani kar de rah rah ke jagata hai shayad gham-e-hasti hai dhalte hain yahan shishe chalte hain yahan patthar diwano thahar jao sahra nahin basti hai jin phulon ke jhurmut mein rahte the 'shamim' ek din un phulon ki khushbu ko ab ruh tarasti hai