pichhli shab khwab mohabbat ka dikhaya gaya tha subh main ped se latka hua paya gaya tha un pe zahir tha mera ishq-e-husaini tabhi to tapte sahra mein mujhe dhoke se laya gaya tha ek bahre ko sunaya gaya farman-e-tarab ek andhe ko ishaare se bulaya gaya tha us hatheli pe ugae gae zakhmon ke gulab jis hatheli pe naya khwab sajaya gaya tha pahle suraj kiya karta tha zamin ki gardish phir zamin ko bhi usi tarah ghumaya gaya tha dekhne wala tha manzar wo khuli aankhon se jab main zanjir-ba-kaf shahar mein laya gaya tha