piran-e-jubba-o-kulah sara fasad ek hai sab ka khuda alag sahi sab ka mafad ek hai chaaron taraf hain mazhabi chaaron taraf hain nafraten sab ki namaz ek hai sab ka jihad ek hai tab-e-shuur-o-fikr ki zad par raha hai ikhtiyar sadiyon se shaikh-o-shah ko hum se inad ek hai raushan charagh ho ya dil taban qalam ho ya khirad gard-e-shab-e-khayal se in ka inad ek hai dahshat-pasand-gan se wahshat-parast-gan tak sharh-e-junun bisiyon lekin murad ek hai