piya tuj ishq kun deti hun sud-bud haur jiyo dil mein hunuz yak hoke nain milta kise bolun tu mushkil mein khushi ke aanjhwan seti bharai samdaran sa to ki shah ke wasl ki daulat giri durganj hasil mein bhanwar kala kiya hai bhes tere mukh kamal ke tain wale is bhanwre the tere pirat mein huin kaamil mein azal the sain ka dil hor mera dil ke hain ek bichhad kar kyun rahun aise jiwan pyare the yak til mein nabi sadqe rayan sari do tan jun shama jalti thi jo tare ke naman rahi thi 'qutub' shah chand sun mil mein