piyala zahr ka lae ho pine kyon nahin dete

piyala zahr ka lae ho pine kyon nahin dete
mere marne pe rona hai to jine kyon nahin dete

nishan be-shak bachen lekin ye ek din-bhar hi aate hain
khurachna kyon mujhe zakhmon ko sine kyon nahin dete

ilahi chand lamhe de ke sab kuchh chhin lete ho
mohabbat karne walon ko mahine kyon nahin dete

pareshan kar rahe hum ko hamin ko dost kahte hain
chhupate ho mera pyala kamine kyon nahin dete

khudaya zalzale ka din muqarrar khud kiya tum ne
to phir har ek ki qismat mein safine kyon nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close