poshida jab ho raaz ki munh mein zaban na ho

poshida jab ho raaz ki munh mein zaban na ho
hum baat bhi karen to baghair-az-fughan na ho

le jaen aah mujh ko meri bad-gumaniyan
zalim wahan ki tera pata bhi jahan na ho

zahid azab-e-ishq-e-sanam lutf-e-haq samajh
yani azab hum ko yahan ho wahan na ho

nairangi-e-chaman jo mujhe yaad aa gai
gul par hua guman ki barg-e-khizan na ho

tum ko maza na degi kabhi dastan-e-ishq
jab tak hamare munh se ye qissa bayan na ho

naqe ko qais kya na laga lae rah par
laila ka raazdar agar sarban na ho

tohmat kisi ko zulm ki ai 'dagh' kyon lagaen
shikwa buton se kya jo khuda mehrban na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close