prem ke hum git ga kar kya karenge neh ke man-mit pa kar kya karenge hum nahin ho pae hain ab tak khudi ke aap ko apna bana kar kya karenge jaante ho ulajhne hain zindagi mein aap ko un mein phansa kar kya karenge raat bhar hain jagte sapne sanjote aap ki ninden uda kar kya karenge aap jo hain dekh kar munh pher lete aap ke sapne saja kar kya karenge aaj rahon mein bichhe hain phul mana panw ke chhaale bhula kar kya karenge karname jaanti hai zindagi ye zindagi se munh chhupa kar kya karenge ab nahin hote ruanse ganw taj kar ganw mein ek ghar bana kar kya karenge zindagi bhar ki kamai shairi hai shairi se ji chura kar kya karenge