puchhi na chashm-e-tar ki na aah-e-rasa ki baat karte rahe wo mujh se bas aab-o-hawa ki baat kya baat main se baat nikalti chali gai tha muddaa yahi ki na ho muddaa ki baat rasm-o-rah-e-jahan ki sifarish rahi magar phir bhi to aane pai na ahl-e-wafa ki baat kya rasm-e-iltifat zamane se uth gai sab ki zaban par hai sitam-e-na-rawa ki baat tufan ka khatra sun ke na kar khauf is qadar aakhir khuda ki baat nahin nakhuda ki baat goya 'asad' hai dil ki zaban dil ka aaina kis darja saf hoti hai ahl-e-safa ki baat