puchhte hain bazm mein sun kar wo afsana mera aap hain kahti hai duniya jis ko diwana mera bas yahi hai mukhtasar tashrih husn-o-ishq ki wo tumhaari dastan hai ye hai afsana mera hain tasawwur mein tere jalwe teri ranaiyan raunaq-e-sad-anjuman hai aaj virana mera khud mere aansu hi us ke haq mein shoale ban gae barq-o-baran se to tha mahfuz kashana mera khil raha hai mere chehre se mera ahwal-e-gham kah rahi hai meri khamoshi hi afsana mera main nahin qail kisi taqlid ka ai rahbaro har qadam uthta hai manzil mein harifana mera maujzan hai khun-e-dil ab chashm-e-tar mein ai 'jalis' baada-e-gul-gun se hai labrez paimana mera