puchhte hain sab hum se dil luta ke kya paya gham sa gauhar-e-yakta tum sa dilruba paya wahshat aur suna-pan apni zat-e-tanhai aaj mai-kade ko bhi khana-e-khuda paya tum ko kho ke hum ne to gham ki daulaten pa lin hum ko kho ke par tum ne ye batao kya paya saikdon ki jaan chhuti teri tegh to tuti hum ko sar ka gham hi kya hum ne khun-baha paya ai 'hasan-kamal’ aakhir ye bhi kya bhala kam hai be-hisi ki duniya mein dil dukha hua paya