pur-soz jigar ke nale bhi dil-soz nikalte rahte hain han shama bhi jalti rahti hai parwane bhi jalte rahte hain khuddam-e-harim-e-naz jo hain allah re un ki khush-bakhti didar bhi hota rahta hai arman bhi nikalte rahte hain ghurbat mein watan aur ahl-e-watan ki yaad jab aa jati hai mujhe dil hai ki tadapta rahta hai aur ashk bhi dhalte rahte hain ai shaikh-o-barahman dekhta hun din raat tumhaare murdon ko ye khak mein milte rahte hain wo aag mein jalte rahte hain aaina husn-e-sabih bhi kya dekhe ki wo waqt-e-nazzara dam bhar nahin jamte shauq-e-nazar ke panw phisalte rahte hain ai shaikh-e-haram eajaz hai ye pur-kaif nigah-e-saqi ka ba-hosh to girte rahte hain behosh sambhalte rahte hain aaram-o-musibat kya shai hai hota nahin kuchh ehsas unhen manzil ki jo dhun mein hain 'sabir' din-raat wo chalte rahte hain