purana sath chhuta ja raha hai mera dil hai ki tuta ja raha hai sabab to hai nahin koi magar wo musalsal mujh se rutha ja raha hai suhana khwab aankhon ko dikha kar sukun-e-qalb luta ja raha hai kahun to kis tarah 'jazib' kahun main wo dekho ek jhuta ja raha hai