purani sham nae aanganon ko roti hai

purani sham nae aanganon ko roti hai
kahin charagh kahin rat-jagon ko roti hai

kahin ye haal ki hai fasla jawaz-e-safar
kahin ye haal thakan faslon ko roti hai

ye shakh-e-dil thi hare mausamon ki dil-dada
so dasht-e-hijr mein taza ruton ko roti hai

wo aankh jis ne kabhi hairaten ata ki thin
wo aankh aaj meri wahshaton ko roti hai

ye kaisa tark-e-sukunat ka e'tibar utha
safar mein ruh-e-safar hijraton ko roti hai

guzishta umr se mansub ek shanasai
pas-e-hajuz khadi fursaton ko roti hai

mera khamir ye kis khal hai utha hai 'razi'
ki meri khak ajab maskanon ko roti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close