pyas jo bujh na saki us ki nishani hogi ret par likkhi hui meri kahani hogi waqt alfaz ka mafhum badal deta hai dekhte dekhte har baat purani hogi kar gai jo meri palkon ke sitare raushan wo bikharte hue suraj ki nishani hogi phir andhere mein na kho jae kahin us ki sada dil ke aangan mein nai shama jalani hogi apne khwabon ki tarah shakh se tute hue phul chun rahi hun koi taswir sajaani hogi be-zaban kar gaya mujh ko to sawalon ka hujum zindagi aaj tujhe baat banani hogi kar rahi hai jo mere aks ko dhundla 'sarwat' main ne duniya ki koi baat na mani hogi