pyas ko dariya raha aur KHak ko sahra raha

pyas ko dariya raha aur khak ko sahra raha
is ke mani ye hue ke ye safar achchha raha

ab main duba tab main duba bas isi ummid mein
ek samundar pas mere raat-bhar baitha raha

main koi manzil nahin tha mil ka patthar tha bas
baad mere bhi musalsal rasta chalta raha

ek aahat aa ke mere dar se wapas ho gai
aur main kanon ko takiye se daba sota raha

sun liya tha ek din ek sans hogi aakhiri
aur phir har sans pe us sans ka dhadka raha

ek zara hazrat ne sab kuchh hi badal kar rakh diya
jo kabhi ek shakhs tha ab wo faqat chehra raha

zindagi ab aur koi gham diya to dekhiyo
khak kar dunga tujhe main ye mera wada raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close