pyase honton se jab koi jhil na boli babu-ji hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par hum ne yun hi dar ke mare aankh na kholi babu-ji bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par jin jin ke kandhon par hai ye prit ki doli babu-ji ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye di hum ko andhi diwali khun ki holi babu-ji dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the wo hi khali le kar laute sham ko jholi babu-ji hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji wo bhi apni aankhon mein nakhun hi le kar baithe the dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji ye kah kah kar kal hum ko sari khushiyan mil jaengi karte rahte ho kyun hum se roz thitholi babu-ji us mein kuchh tute sapne the kuchh aahen kuchh aansu the jab jab bhi hum ne ye apni jeb tatoli babu-ji ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji