qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha na sarw-e-bagh ko itna kashida hona tha hua hai zulf se gustakh kis qadar shana hamare pas bhi dast-e-burida hona tha na khinchna tha zulekha ko daman-e-yusuf usi ka parda-e-ismat darida hona tha diya na sath jo sabr-o-qarar ne na diya rawana mulk-e-adam ko jarida hona tha mitae se koi mitta hai baatilon ke haq kuchh ikhtiyar se kya barguzida hona tha na jaanta tha ghazab hai nigah ka tir ai dil tujhi ko samne aafat-rasida hona tha rulata sham-o-sahar kis tarah na tale-e-past buland sar se mere aab-dida hona tha gurez-e-yar ne barbaad kar diya hum ko ghubar-e-rah ghazal-e-ramida hona tha na aai daman-e-daya mein nind ai 'atish' darun-e-daman-e-khak aaramida hona tha