qadam-qadam pe tu ai rah-rau qayam na kar

qadam-qadam pe tu ai rah-rau qayam na kar
maqam-e-yar se pahle kahin maqam na kar

tere liye to sabhi manzilen marahil hain
rah-e-talab ke musafir safar tamam na kar

ye shahr hai yahan matlab ki baat hoti hai
gharaz na ho to padosi se bhi kalam na kar

lage na thes kisi dil pe be-rukhi se teri
bhale hi mandir-o-masjid ka ehtiram na kar

na chhed zikr gham-e-dil ka ja-ba-ja tu 'sada'
jo khas un ke liye hai wo baat 'am na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close