qadmon se itna dur kinara kabhi na tha na-qabil-e-ubur ye dariya kabhi na tha tum sa hasin in aankhon ne dekha kabhi na tha lekin ye sach nahin koi tum sa kabhi na tha hai zikr-e-yar kyun shab-e-zindan se dur dur ai ham-nashin ye tarz ghazal ka kabhi na tha kamre mein dil ke us ke alawa koi nahin hairan hun ki aisa andhera kabhi na tha kis ne bisat-e-bahs ke mohre badal diye tanha to tha wo pahle bhi gunga kabhi na tha imroz-e-intizar ka farda to kal bhi hai andoh-e-imshabi ka sawera kabhi na tha har zehn mein hamesha sulagta hai ye sawal aakhir hua wo kyun jise hona kabhi na tha diwana tha bhatak gaya gum ho gaya hai qais khali magar kajawa-e-laila kabhi na tha kal bhi isi dayar mein tha raushni ka qaht aisa magar charagh ka dhanda kabhi na tha pighli kuchh aur barf to ek aur shahr-e-khwab yun bah gaya nasheb mein goya kabhi na tha barsa hai kis babul pe abr-e-bahaar-khez itna hara to zakhm-e-tamanna kabhi na tha us ne bhi iltifat se dekha tha kab 'khalish' main ne bhi us ke bare mein socha kabhi na tha