qaede bazar ke is bar ulte ho gae aap to aae nahin par phul mahnge ho gae ek din donon ne apni haar mani ek sath ek din jis se jhagadte the usi ke ho gae mujh ko is husn-e-nazar ki dad milni chahiye pahle se achchhe the jo kuchh aur achchhe ho gae muddaton se hum ne koi khwab bhi dekha nahin muddaton ek shakhs ko ji bhar ke dekhe ho gae bas tere aane ki ek afwah ka aisa asar kaise kaise log the bimar achchhe ho gae