qafas ko chaman se siwa jaante hain har ek sans ko hum saba jaante hain lahu ro ke sincha hai hum ne chaman ko har ek phul ka majra jaante hain jise naghma-e-nai samajhti hai duniya use bhi hum apni sada jaante hain ishaara kare jo nai zindagi ka hum us khud-kushi ko rawa jaante hain teri dhun mein koson safar karne wale tujhe sang-e-manzil-numa jaante hain