qafas-nasibon ko tadpa gai hawa-e-bahaar chhuri si dil pe chali jab chali hawa-e-bahaar koi to jura-kash-e-jam-e-arghawani ho kisi ko hijr ke gham mein lahu rulae bahaar hawa mein aaj-kal ek dhimi dhimi wahshat hai isi zamane se shayad hai ibtida-e-bahaar nasim sehn-e-chaman mein pachhaden khati hai to dil ko aur bhi tadpati hai ada-e-bahaar qafas pe rakhiyo na sayyaad bar phulon ka kahin asiron ko zalim na yaad aae bahaar khadi hui hai asa teke nargis-e-bimar is intizar mein hai dekhiye kab aae bahaar safed baalon pe kya rang de raha hai khizab ab ibtida-e-khizan hai aur intiha-e-bahaar