qahr hai maut hai qaza hai ishq sach to yun hai buri bala hai ishq asar-e-gham zara bata dena wo bahut puchhte hain kya hai ishq aafat-e-jaan hai koi parda-nashin ki mere dil mein aa chhupa hai ishq bul-hawas aur laf-e-jaan-bazi khel kaisa samajh liya hai ishq wasl mein ehtimal-e-shadi-e-marg chaaragar dard-e-be-dawa hai ishq sujhe kyunkar fareb-e-dildari dushman-ashna-numa hai ishq kis malahat-sirisht ko chaha talkh-kaami pe ba-maza hai ishq hum ko tarjih tum pe hai yani dilruba husn o jaan-ruba hai ishq dekh haalat meri kahen kafir nam dozakh ka kyun dhara hai ishq dekhiye kis jagah dubo dega meri kashti ka nakhuda hai ishq ab to dil ishq ka maza chakkha hum na kahte the kyun bura hai ishq aap mujh se nibahenge sach hai ba-wafa husn o bewafa hai ishq main wo majnun-e-wahshat-ara hun nam se mere bhagta hai ishq qais o farhad o wamiq o 'momin' mar gae sab hi kya waba hai ishq