qalam ki nok pe rakkhunga is jahan ko main zamin lapet ke rakh dun ki aasman ko main aziz jaan ho jise mujh se wo gurez kare ki aaj aaya hua hun khud apni jaan ko main hai mauj mauj mukhalif mere safine ki aur us pe kholne wala hun baadban ko main fareb-e-zat se bahar nikal ke dekh mujhe bata raha hun zamane ki aan-ban ko main hamesha lafz ki hurmat ka pas rakkha hai bada aziz hun lafzon ke khandan ko main agar main chahun to 'mumtaz' aasman mein udun guman yaqin ko de dun yaqin guman ko main