qalb-e-warafta mohabbat mein kahin aisa na ho jis ko tu apna samajhta hai wahi begana ho har sitam par muskurana meri fitrat hai magar dekhiye is zabt ka anjam kya ho kya na ho main ne mana aap ne sab kuchh bhula dala magar ghair-mumkin hai kabhi mera khayal aata na ho husn ko ye gham ki jalwe ho rahe hain be-naqab ishq ko ye fikr namus-e-nazar ruswa na ho shauq se tu bhul ja ai bhulne wale magar is taghaful mein koi pahlu tawajjoh ka na ho gir gaya un ki nigahon se dil-e-khana-kharab meri nazron se bhi gir jae kahin aisa na ho bahar-e-takmil-e-nazara ye bhi lazim hai 'nasim' mere un ke darmiyan hail koi parda na ho