qamar bhi dur na tha kahkashan buland na thi hamin ko farsh se duri magar pasand na thi zara si aatish-e-gham se chatakh ke bujh jati meri hayat-e-junun dana-e-sipand na thi lahu zamin ke shagafon se be-sabab phuta falak ki aankh abhi mail-e-gazand na thi yahi ki pas tha taqdis-e-baam ka warna talab ke hath mein kya shauq ki kamand na thi hamare haal pe ahl-e-jahan ke honton par hansi na thi koi aisi jo zahr-khand na thi shaguft-e-gul ki sada ho ki girya-e-shabnam jahan mein kaun si aawaz thi jo pand na thi fareb de gai aalam ko khu-e-tanhai mere junun ki tabiat to khud-pasand na thi ziyan tha naz mata-e-hunar pe ai 'manzur' ye chiz chashm-e-zamana mein arjumand na thi