qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain

qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
sarw ko sadqe mein aazad kiya karte hain

zulf-e-shab-rang ko hum yaad kiya karte hain
shab-e-tarik mein fariyaad kiya karte hain

nigah-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
dekh kar barq ko fariyaad kiya karte hain

kucha-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
ja ke gulzar mein fariyaad kiya karte hain

ghar jo be-yar hai viran to tasawwur mein mudam
khana-e-dil ko hum aabaad kiya karte hain

rashk se nam nahin lete ki sun le na koi
dil hi dil mein use hum yaad kiya karte hain

guzre hain kucha-e-kakul se saba ke jhonke
nikhat-e-gul ko jo barbaad kiya karte hain

hote hain jate hi maktab mein pari-ru khun-rez
kya ye jalladon ko ustad kiya karte hain

phunk den nala-e-sozan se agar chahen qafas
hum faqat khatir-e-sayyaad kiya karte hain

hoti hai aafat-e-khat qahr-e-khuda se nazil
ye sanam hum pe jo bedad kiya karte hain

malak-ul-maut agar kahiye unhen to hai baja
qatl be-tegh pari-zad kiya karte hain

tu wo sayyaad hai jo war ke tujh par lakhon
taer-e-ruh ko aazad kiya karte hain

intiqam is ka kahin le na falak darta hun
jhute wadon se jo wo shad kiya karte hain

tera diwan hai kya samne un ke 'nasikh'
jo ki quran pe irad kiya karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close