qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale

qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale
ada ada pe teri hum nisar ho ke chale

rah-e-wafa mein raqabat ke mod bhi hain bahut
ye dil se kah do zara hoshiyar ho ke chale

kisi ke kahne pe tufan mein dal di kashti
khuda kare ki hawa sazgar ho ke chale

hamein to naz hai apne hasin gunahon par
wo log aur the jo sharmsar ho ke chale

tumhaari ambarin zulfon ko chhu ke aai hai
hawa ki mauj na kyun mushk-bar ho ke chale

wo jite-ji to na aae mizaj-pursi ko
janaza dekha to sath ashk-bar ho ke chale

nazar ne mil ke nazar se mila diya hum ko
ye rabt-e-bahami ab ustuwar ho ke chale

wo arz-e-wasl pe khamosh ho ke baith gae
na aar ho ke chale wo na par ho ke chale

azal se 'charkh'-e-tabiat shagufta hai apni
jo milne aae wo bagh-o-bahaar ho ke chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close