qasam khuda ki bulandi se guftugu karte udan bharne se pahle agar wuzu karte fana ka khauf raha raat bhar mohalle par faqir guzre the kal sham allah-hu karte hamare saye zaminon mein dhans chuke the yahan safar ka azm bhala kaise chaar su karte kisi pe dhup ke chilke na dalte hargiz ek aaina bhi agar khud ke ru-ba-ru karte jhuki jabin ka meayar badh gaya hota gar apne aap ko masjud qibla-ru karte abhi hui hain kahan pattharon ki barsaten abhi se phirne lage kyun lahu lahu karte jo log mom ki dastar bandhe phirte hai zara si der to suraj se guftugu karte kiran ke dhage ka hum ko agar sira milta hawaen site khalaon ko hum rafu karte 'nawaz' is liye khamoshiyon se lipte hain zaban khulti to paida nae adu karte