qatra-e-shabnam ko jalte aaftabon mein na rakh ek hi jaan hai use itne azabon mein na rakh aainon se dosti ki hai to apna aks dekh apne chehre ko chhupa kar yun naqabon mein na rakh meri aankhon ko bhi koi khubsurat khwab de mujh ko har lamha basa kar apne khwabon mein na rakh aisi baaton se hi wo rahta hai kuchh sahma hua us ke aage apne honton ko gulabon mein na rakh paniyon ke shahr mein har mauj ek sailab hai dekh apni khwahishon ko in hababon mein na rakh sirf lamhati nashon mein dard ki lazzat na dhund is tarah madhosh apne ko sharabon mein na rakh