qatre gire jo kuchh araq-e-infial ke

qatre gire jo kuchh araq-e-infial ke
dariya baha diye karam-e-zul-jalal ke

pahlu se dil ko le gae wo dekh-bhaal ke
yusuf ko le chale hain kuen se nikal ke

kyun mitti dene aae jo wada tha ghair se
jate kahan ho aankh mein tum khak dal ke

labrez main ne mai se na dekha use kabhi
phute nasib hain mere jam-e-sifal ke

hai mujh mein aur kohkan-o-qais mein ye farq
main wahshi-e-azal hun ye diwane haal ke

ho tur par uruj unhen tu ho gharq-e-nil
firaun ye mila tujhe musa ko pal ke

kahti hai badh ke zulf kamar se dam-e-khiram
rakh dungi main kamar ke abhi bal nikal ke

rakhengi ab kahin ka na piri ki laghzishen
rakhna qadam 'wasim' bahut hi sambhaal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close