qatre mein dariya zarre mein sahra dikhai de

qatre mein dariya zarre mein sahra dikhai de
wa dil ki aankh ho to tamasha dikhai de

teri nazir husn-o-ada mein koi nahin
mujh ko bata de koi jo tujh sa dikhai de

apni buraiyon pe agar jaegi nazar
duniya mein har koi hamein achchha dikhai de

chhani hai is liye rah-e-dair-o-haram ki khak
shayad tumhaara naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de

apni hayat-e-ishq pe dalen agar nazar
na-khush-gawariyon ka pulanda dikhai de

gul ki ada chaman mein 'jamali' hai dil-pazir
sina ho gham se chaak to hansta dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close