qayam mein bhi kisi rah par rawana tha

qayam mein bhi kisi rah par rawana tha
mera mizaj azal se musafirana tha

pada tha us ke bhi rukh par naqab-e-na-maujud
meri bhi aankh pe ek dast-e-ghaebana tha

hum apni ruh tere jism hi mein chhod aae
tujhe gale se lagana to ek bahana tha

tere husul ki bazi bhi kitni mushkil thi
idhar main yakka-o-tanha udhar zamana tha

main us ko dekhta rahta tha us ki aankhon se
khayal-o-khwab ka mausam bada suhana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close