qayamat hai shab-e-wada ka itna mukhtasar hona falak ka sham se dast-o-gareban-e-sahar hona shab-e-tarik ne pahlu dabaya roz-e-raushan ka zahe qismat mere baalin pe tera jalwagar hona hawa-e-tund se kab tak ladega shola-e-sarkash abas hai khud-numai ki hawas mein jalwagar hona diyar-e-be-khudi hai apne haq mein gosha-e-rahat ghanimat hai ghadi bhar khwab-e-ghaflat mein basar hona wahi saqi wahi saghar wahi shisha wahi baada magar lazim nahin har ek par yaksan asar hona suna karte the aaj aankhon se dekhen dekhne wale nigah-e-'yas' ka sangin-dilon par kargar hona