qayas ban-bas ko muani de

qayas ban-bas ko muani de
de mujhe phir koi kahani de

bakhsh jazbon ko daimi shobha
sher ko umr-e-jawedani de

karbala! meri jadd pe guzri kiya
haal-ahwal kuchh zabani de

khatam-e-zar ki aansuon ke guhar
jo bhi deta hai tu nishani de

dal gandum pe kesari chundri
dhan ke sar pe shaal dhani de

koi ejaz-e-mahramana phir
koi aawaz to purani de

mantaqe sab zamin ke kar zarkhez
rang dharti ko aasmani de

kaun paida ho ya-ali tujh sa
apne qatil ko kaun pani de

ek na ek din to priytma se mila
ek na ek raat to suhani de

hath ko hirs ki hawa se bacha
aankh ko dil ki tarjumani de

raja chaupat andher-nagri ka
is kahani ko mat rawani de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close