qaza ke sath chale zindagi ke badle mein mili na chhanw bhi ahal-e-amal ko raste mein jawab-e-shahr-e-khamoshan har ek basti hai gulab khilte nahin ab kisi dariche mein gham-e-hayat ki paighambarana ulfat ko na jaane kab se basae hue hain sine mein pahunch chuke hain yaqin ki hudud mein phir bhi laraz rahe hain qadam sath sath chalne mein shuur-e-zist ki alhad kiran nazar aai hayat-e-nau ke simatte hue dhundalke mein tumhaare qurb ki wo saat-e-hasin ab bhi rawan hai sath mere yaad ke safine mein har ek sans su-e-kahkashan badhi lekin qadam bhatakte rahe umr bhar andhere mein nikal ke mahbas-e-shab-rang se junun wale asir hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein kare jo azm-e-safar us ko ye khabar kar do ki ek padaw hain hum is tawil mele mein baha jo subh-e-bahaaran ki justuju mein 'umid' usi lahu ka hai partaw har ek shagufe mein